Intro
Yeh blog un sab logon ke liye hai jo kehte hain, "ignore kar do, chhoro, badnaam mat karo." Lekin jab zulm barh jaye, aur jise sabse zyada deserve karta ho uska haq cheen liya jaye — tu khamoshi khud aik gunah ban jaati hai.
Manager's Call
Jab maine pehla blog likha tha, mujhe Bano Qabil ke managers ke calls aani shuru ho gayi. Har call mein ek hi lafz tha — "Maafi chahtay hain."
Lekin asli kahani? Woh ab tak chup thi.
Ab nahi.
1. Jab Call Aayi – Sach Ka Darya Bah Gaya
Ek din achanak mere mobile pe ek call aayi. Tone unusually soft thi. Call Bano Qabil ke top-level management mein se ek zimmedar shakhs ki thi. Phone uthaya to shuru hi yeh lafzon se hua:
"Please, hum poori Bano Qabil team ki taraf se aap se maafi chahtay hain."
My Response:
"Jab sabke samne meri izzat kuchli gayi, tab aap log kahan thay? Aaj sirf ek sorry bol dene se sab saaf ho jayega? Nahi."
Is dafa phone ke doosri taraf sirf silence nahi tha, sach bhi tha.
2. Teen Logon Ki Planning – Jab Genius Ban Gaya Target
Phir baat andar ki nikal kar saamne aayi. Mujhe bataaya gaya ke:
Ek Graphic Designing ka Teacher
Ek Campus ka Coordinator
Aur ek aur andar ka banda
Ye teen log milkar pehle se decide kar chuke thay ke mujhe award, laptop aur stage time nahi diya jayega. Aur reason?
Their Excuse
"Woh already genius hai, usay sab aata hai. Chalo kisi aise ko le aate hain jo zero se start kar raha hai."
Bro, matlab? Genius hone ka matlab yeh hai ke tumhara haq maar liya jaye? Aisi thinking sirf complex wale logon ki ho sakti hai. Jo talent se darte hain, aur apne favourites ko upar lana chahte hain — deserving logon ko kuchal kar.
3. Favoritism Ka Ganda Khel – Naye Teachers, Purani Soch
Yeh campus, jahan maine itni mehnat ki, wahan naye teachers aaye. Lekin woh ilm aur insaaf le kar nahi aaye — "groupism, jealousy aur favoritism" le kar aaye.
Jisko pasand kiya gaya
usay stage par bulaya gaya
Jisne apne dum pe naam banaya
usay intentionally ignore kiya gaya
Talent, work ethic, skills — sab kuch nazar andaz.
Ek naya rule bana liya gaya:
"Jisne zero se start kiya hai, usay upar le aao — chahe usne kuch bhi perform na kiya ho."
Aur jinhon ne waqai mehnat ki, sabko sikhaya, system chalaya — unko zinda zameen mein gaad do.
4. Mera Matlub Seedha Hai – In Logon Ko Hatao
Yahan main khula elaan karta hoon:
Clear Demand
"Jab tak ye teen log jinhon ne planning ki — unko campus se hataya nahi jaata, system kabhi transparent nahi ban sakta."
In logon ne sirf mujhe nahi, poori youth movement ke concept ko tamasha bana diya.
Jitna wo mujhe neecha dikhana chahte thay, utna main upar gaya — lekin unka asli chehra ab expose hoga.
5. Maafi Chahte Ho? Pehle Ye Karo
Agar Bano Qabil waqai mujhe maafi ka paighaam dena chahta hai, tu meri conditions simple hain:
Delete Video 1
Jo video mere naam ke sath "Bano Qabil Khyber Pakhtunkhwa" page par lagi hai — usay foran delete karo
Delete Video 2
Jo doosri video "Alkhidmat Lower Dir" ke page par hai — usay bhi turant delete karo
Public Apology
Dono Facebook pages par aik proper post karo: "We are sorry dear Muatasim Billah" And mujhe proper mention/tag bhi karo
Uske baad hi main sochunga ke maafi qabool ki jaaye ya nahi. Public me zaleel kiya gaya tha — tu izzat bhi public me wapas karo.
6. End Nahi — Yeh Aaghaz Hai
Mujhe stage par nahi bulaya gaya?
Theek hai.
Award nahi diya gaya?
Chalega.
Lekin mujhe Allah ne awaz di hai. Jab maine sach likha, log jhoot se larne ke liye saath aaye. Aur ab jab koi "Bano Qabil" Google karega — sabse pehle meri kahani saamne aayegi.
Award unka tha
lekin impact mera hai
Main award lene nahi
tareekh banane aaya tha.
Agle blog mein, in teenon logon ke naam bhi public honge.
System ko expose kiya jaayega, naam ke saath, position ke saath.
Stay tuned — yeh sirf shuruaat hai.